Jurat Qalandar Bakhsh

ye ghazab baiThe-biThae tujh pe kya nazil hua

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ye ġhazab baiThe-biThā.e tujh pe kyā nāzil huā
uTh chalā duniyā se kyuuñ tū tujh ko ai dil kyā huā
shakl hī aisī banā.ī hai tirī allāh ne
mat ḳhafā ho gar huā maiñ tujh pe maa.il kyā huā
in dinoñ hālat tirī paatā huuñ maiñ apnī sī yaar
ḳhūb-rū tujh sā koī tere muqābil kyā huā
ai but-e-ḳhūñ-ḳhvār ik zaḳhmī tire kūche meñ thā
so ka.ī din se ḳhudā jaane vo ghāyal kyā huā
zañg ho kar qais kā dil kārvāñ-dar-kārvāñ
nit ye kahtā hai ki vo lailā kā mahmil kyā huā
fikr-e-marham mat karo yaaro ye batlāo mujhe
jis ke hāthoñ maiñ huā zaḳhmī vo qātil kyā huā
thā jigar to TukḌe TukḌe bar meñ kyuuñ taḌpe hai tū
kyuuñ dilā teġh-e-jafā se tū bhī bismil kyā huā
ranjisheñ aisī hazār aapas meñ hotī haiñ dilā
vo agar tujh se ḳhafā hai tū hī jā mil kyā huā
apne begāne sabhī haiñ mat uThā mahfil se yaar
gar kisī Dhab se huā yaañ maiñ bhī dāḳhil kyā huā
dekhte hī terī sūrat mujh ko ai ā.īna-rū
saḳht hairat hai ki pahlū meñ nahīñ dil kyā huā
soch rah rah kar yahī aatā hai ai 'jur.at' mujhe
ḳhalq karne se mire ḳhāliq ko hāsil kyā huā
Top Urdushayar.com