ba-chaman ab vo kiyā chāhe hai mai-nosh guzār
jald ai paik-e-sabā gul ke ye kar gosh-guzār
nahīñ ma.alūm kahāñ jaate haiñ juuñ nashsha-e-mai
jidhar in rozoñ meñ ham karte haiñ mad.hosh guzār
bazm meñ mujh ko jo dekhā to ye jhuñjhlā ke kahā
aisī mahfil meñ kare hai mirī pā-posh guzār
sar-nigūñ kūcha-e-rusvā.ī meñ haiñ aaj talak
sau ḳharābī se jo is dar pe kiyā dosh guzār
āshiq us parda-nashīñ ke haiñ ki gar sāmne se
kabhī guzre hai to kartā hai vo rū-posh guzār
chand roza hai ye mai-ḳhāna-e-hastī yaañ to
umr ġhaflat meñ na ai be-ḳhirad-o-hosh guzār
aa phañsā ishva-o-andāz-o-adā meñ yuuñ dil
rahzanoñ meñ kare juuñ rāh-farāmosh guzār
ham-safar haiñ to ye hasrat hai ki kiije kosoñ
ik savārī meñ hue us se ham-āġhosh guzār
qadr-dāñ koī suḳhan kā na rahā ai 'jur.at'
kunj-e-tanhā.ī meñ auqāt tū ḳhāmosh guzār