Jurat Qalandar Bakhsh

wasl banne ka kuchh banaw nahin

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
vasl banñe kā kuchh banāv nahīñ
vaañ lagā dil jahāñ lagāv nahīñ
paañv kyuuñ dābne nahīñ dete
gar kisī kā tumheñ dabāv nahīñ
zaḳhm-e-dil kā ilaaj kyā kiije
qābil-e-marham apnā ghaav nahīñ
aise dariyā meñ bah chale haiñ ki aah!
jis meñ Taapu nahīñ hai naav nahīñ
hai bahut jalva-gāh-e-yār buland
dekheñ kyā yaañ se kuchh dikhāv nahīñ
bal be terī sajāvaT.eñ allāh
kuchh qayāmat hai ye banāv nahīñ
dastaras vaañ zarā nahīñ aur haa.e
dil meñ kyā kyā hamāre chaav nahīñ
le ke dil yuuñ kahe hai chitvan meñ
ab mirī bazm meñ tum aao nahīñ
dard-e-pinhāñ se jī hī nikle hai
kyā kaheñ tum se kuchh chhupāv nahīñ
gar safar ko sidhāre ho to aao
jā ke vaañ chhāvnī tū chhāv nahīñ
kyūñki 'jur.at' lagā.eñ ham laggā
ki farishte kā vaañ lagāv nahīñ
aur to aur chorī chorī se
baat kar lene kā bhī daav nahīñ
Top Urdushayar.com