dil ko ai ishq sū-e-zulf-e-siyah-fām na bhej
rahzanoñ meñ tū musāfir ko sar-e-shām na bhej
dekh ho jā.ūñgā ġhairoñ ke gale kā maiñ haar
haar phūloñ ke tū ai shoḳh-gul-andām na bhej
bhar nazar sūrat-e-gul dekh to leñ ai be-dard
haa.e sayyād abhī ham ko tah-e-dām na bhej
jab vo bheje hai mujhe mai to kaheñ haiñ yuuñ ġhair
ye bahak jā.egā bas aur ise jaam na bhej
bhejūñ us paas jo qāsid ko dobāra to kahe
baaz āyā, nahīñ lene kā maiñ in.aam na bhej
kūcha-e-yār meñ pahuñche haiñ to bas rahne de
jīte-jī yaañ se kahīñ gardish-e-ayyām na bhej
dam-ba-dam bheje hai quliyāñ hī ko kyā muñh se lagā
lab se bhī lab ko milā bosa-ba-paiġhām na bhej
ba.ad muddat ke tujhe paayā hai tanhā ba-ḳhudā
aaj tū kaam ko yaañ se but-e-ḳhud-kām na bhej
de kabhī bosa-e-chashm-o-lab-e-jāñ-baḳhsh bhī jaañ
sirf sauġhāt hameñ bosa-ba-paiġhām na bhej
gāliyāñ to haiñ mohabbat kī ibārat pyāre
kab maiñ kahtā huuñ ki likh kar mujhe dushnām na bhej
par ye dhaḌkā hai ki jaave na kahīñ ḳhat pakḌā
kar ke sar-nāme pe tahrīr mirā naam na bhej
'jur.at' ab tujh se vo rūThā to manā kyūñki maiñ lā.ūñ
tū hī phir dene lagegā mujhe ilzām na bhej