shab-e-hijrāñ meñ mat pūchho ki kin bātoñ meñ rahtā huuñ
tasavvur bāñdh us kā sub.h tak kuchh kuchh maiñ kahtā huuñ
jo dekho ġhaur kar to juz o kul bilkul mujhī meñ hai
kabhī huuñ ik hubāb-āsā kabhī dariyā ho bahtā huuñ
tire rukne se pyāre bas mirā dam rukne lagtā hai
nahīñ to boltā tū boliyāñ kin kin kī sahtā huuñ
nahīñ miltī hai fursat ġhair use ghere hī rahte haiñ
kahūñ kuchh hāl-e-dil bas DhūñDhtā itnā subahtā huuñ
ye josh-e-ashk ne tūfāñ uThāyā hai ki ai 'jur.at'
kahe hai kishvar-e-tan meñ tū koī dam ko Dhahtā huuñ