Siraj Aurangabadi

hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
hai jumbish-e-mizhgāñ meñ tirī tiir kī āvāz
is tiir meñ hai said kī takbīr kī āvāz
mushtāq huuñ tujh lab kī fasāhat kā va-lekin
'rāñjhā' ke nasīboñ meñ kahāñ hiir kī āvāz
tū ḳhusrav-e-ḳhūbāñ hai ki le hind siiñ tā rome
pahuñchī hai tire husn-e-jahāñgīr kī āvāz
hairat ke maqāmāt meñ qānūn-e-navā nahīñ
hai sāz-e-ḳhamoshī lab-e-tasvīr kī āvāz
dīvāne kuuñ mat shor-e-junūñ yaad dilāo
hargiz na sunāo use zanjīr kī āvāz
piitā huuñ judā.ī meñ tirī ghūñT lahū kī
sun ġhuncha-dahan āshiq-e-dil-gīr kī āvāz
ai jān-e-'sirāj' aa ke patañgoñ kī ḳhabar liyo
sun jaao mire nāla-e-shab-gīr kī āvāz
Top Urdushayar.com