jo tujhe dekh ke mab.hūt huā
ḳhūn-e-dil us ko sadā quut huā
jo muā dekh tire aariz kuuñ
shāḳh-e-gul kā use tābūt huā
jo uThā majlis-e-nāsotī meñ
mahram-e-ḳhalvat-e-lāhūt huā
nok-e-mizhgān-e-sanam haq meñ mire
tez juuñ neza-e-rajpūt huā
ashk-e-ḳhūnīñ shab-e-hijrāñ kā 'sirāj'
roġhan-e-sho.ala-e-yāqūt huā