kāfir huā huuñ rishta-e-zunnār kī qasam
tujh zulf-e-halqa-dār ke har taar kī qasam
hargiz marīz-e-hijr kuuñ bin vasl nahīñ ilaaj
us ḳhush-adā kī nargis-e-bīmār kī qasam
us gul-badan ke kākul-e-pur-pech kā ḳhayāl
zunnār mujh gale kā huā haar kī qasam
tere bhañvoñ kī yaad ne TukḌe kiyā hai dil
hai zul-fiqār haidar-e-karrār kī qasam
ummīd-vār-e-chāh-e-zanaḳhdān-e-yār huuñ
maiñ tishna-lab huuñ sharbat-e-dīdār kī qasam
darkār gar hinā hai mujh āñkhoñ meñ rakh qadam
hai tujh kuuñ mere dīda-e-ḳhūñ-bār kī qasam
yakjā hue haiñ bulbul o parvāna ai 'sirāj'
us sham.a-rū ke chīra-e-gulnār kī qasam