mujh par ai mahram-e-jāñ parda-e-asrār kuuñ khol
ḳhvāb-e-ġhaflat señ uThā dīda-e-bedār kuuñ khol
dil kuuñ ab dāman-e-sahrā-e-junūñ yaad aayā
aql ke daam señ us said-e-giraftār kuuñ khol
ai nasīm-e-saharī bū-e-mohabbat le aa
turra-e-yār satī itr kī mahkār kuuñ khol
aarzū hai mirī āñkhoñ señ ravāñ hoeñ aañsū
nashtar-e-ġham señ rag-e-abr-e-guhar-bār kuuñ khol
maiñ ḳharīdār huuñ de jins-e-junūñ ḳhātir-ḳhvāh
ai ġham-e-qāfila-sālār Tuk is baar kuuñ khol
qafas-e-ġham meñ dil-afsurda rahūñgā kab tak
naġhma-e-shauq señ mere lab-e-guftār kuuñ khol
qissa-e-dard kuuñ anjām nahīñ misl-e-'sirāj'
ġham ke daftar kuuñ lapeT aah ke tūmār kuuñ khol