Siraj Aurangabadi

main na jaana tha ki tu yun be-wafa ho jaega

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
maiñ na jaanā thā ki tū yuuñ be-vafā ho jā.egā
āshnā ho is qadar nā-āshnā ho jā.egā
ḳhuub lagtī hai agar bad-nāmī-e-āshiq tujhe
aah kartā huuñ ki shohra jā-ba-jā ho jā.egā
gar tumhārī dil ḳhushī hai zab.h karne meñ mire
ḳhuub jī jaave to jaave aur kyā ho jā.egā
maiñ sunā hoñ tujh laboñ kā naam hī hājat-ravā
yak tabassum kar ki merā mudda.ā ho jā.egā
kyā ajab gar maiñ huā dīvāna-e-zulf-e-butāñ
gar farishta hove to un kā mubtalā ho jā.egā
maiñ tumhāre āstāne siiñ judā hone kā nahīñ
sar agar shamshīr siiñ kaT kar judā ho jā.egā
jyuuñ 'sirāj' us sham.a-rū par dil kuuñ hai milne kā shauq
farz-e-ain-e-āshiqī siiñ ab adā ho jā.egā
Top Urdushayar.com