sīna-sāfī kī hai jise ainak
us kuuñ dīdār-e-yār hai be-shak
safha-e-dil kuuñ daaġh kī kar mohr
ishq ke shaah ne diyā dastak
rahzan-e-aql siiñ nahīñ visvās
huuñ himāyat meñ ishq kī jab tak
bul-havas soz-e-dil kuuñ kyā jaane
na jale hargiz aag meñ abrak
ġhair kā naqsh ġhair-e-naqsh-nigār
safha-e-dil satī kiyā huuñ hak
shor hai bas ki tujh malāhat kā
dil hamārā huā hai kān-e-namak
gar jalā chāhtā hai misl-e-'sirāj'
ai dil us sho.ala-rū kī dekh jhalak