jaan o dil siiñ maiñ giraftār huuñ kin kā un kā
banda-e-be-zar-o-dīnār huuñ kin kā un kā
sabr ke baaġh ke manDve se jhaḌā huuñ jiyūñ phuul
ab to lāchār gale haar huuñ kin kā un kā
hauz-e-kausar kī nahīñ chāh-e-zanaḳhdāñ kī qasam
tishna-e-sharbat-e-dīdār huuñ kin kā un kā
lab-o-ruḳhsār ke gul-qand siiñ lāzim hai ilaaj
dil ke āzār siiñ bīmār huuñ kin kā un kā
muddateñ huiiñ ki huā ḳhāna-e-zanjīr ḳharāb
basta-e-zulf-e-girah-dār huuñ kin kā un kā
tishna-e-marg kuuñ hai āb-e-surāhī dam-e-teġh
bismil-e-abrū-e-ḳhamdār huuñ kin kā un kā
nāhaq is sañg-dilī siiñ mujhe dete haiñ shikast
maiñ to ā.īna-e-sarkār huuñ kin kā un kā
gulshan-e-vasl meñ rahtā huuñ ġhazal-ḳhvān-e-firāq
andalīb-e-gul-e-ruḳhsār huuñ kin kā un kā
maiñ kahā rahm patañgoñ pe kar ai jān-e-'sirāj'
tab kahā sham-e-shab-tār huuñ kin kā un kā