Rifat-al-Qasmi

ye izn-e-am hai ai waizo aao wuzu kar lo

Rifat-al-Qasmi

Munger, Bihar, India

1934
ye izn-e-ām hai ai vā.izo aao vuzū kar lo
ḳhudā kā naam le kar bai.at-e-dast-e-subū kar lo
guloñ kī chaak dāmānī pe kyuuñ jaate ho dīvāno
ḳhud apne hī jigar ke chaak to pahle rafū kar lo
ye bazm-e-mai hai yaañ piinā pilānā hī ibādat hai
ijāzat hai agar chāho ḳhudā ko rū-ba-rū kar lo
kalīm aao to mere saath tum bhī tūr-e-sīnā tak
zarā is dushman-e-īmān-o-dīñ se guftugū kar lo
ḳhudā jaane ye kaisī aag hai ham ne mohabbat meñ
yahī dekhā ki dil ko ḳhaak kar lo yā lahū kar lo
yuuñ hī rote rahoge umr bhar merī tarah 'rif.at'
kahīñ aisā na ho tum bhī kisī kī aarzū kar lo
Top Urdushayar.com