Rifat-al-Qasmi

kyun andheron ka musafir hai muqaddar apna

Rifat-al-Qasmi

Munger, Bihar, India

1934
kyuuñ añdheroñ kā musāfir hai muqaddar apnā
koī sūraj to nikāle ye samundar apnā
zulmat-e-shab meñ jalā.e hue ashkoñ ke charāġh
ishq kī raah meñ ḳhud ishq hai rahbar apnā
kyā lagā.egā koī merī anā kī qīmat
donoñ aalam se girāñ-tar hai ye jauhar apnā
koī chehra to kahīñ ho tire chehre kī tarah
shahr-e-ḳhūbāñ meñ nahīñ ek bhī manzar apnā
dil meñ raushan hai tirā dard zamāne se nihāñ
kyā sadaf ne bhī dikhāyā kabhī gauhar apnā
us ke lab-ḳhand meñ Dhal jaa.e ḳhizāñ kā mausam
us ko gulnār kareñ zaḳhm dikhā kar apnā
anjuman gosh-bar-āvāz hai 'rif.at' dekheñ
kis ke siine meñ utartā hai ye nashtar apnā
Top Urdushayar.com