Rifat-al-Qasmi

husn-e-azal ne pahle hamein jalwa-gar kiya

Rifat-al-Qasmi

Munger, Bihar, India

1934
husn-e-azal ne pahle hameñ jalva-gar kiyā
duniyā-e-hast-o-būd se phir be-ḳhabar kiyā
us be-niyāz-e-ishq ne āshufta-sar kiyā
dair-o-haram sajā.e pareshāñ-nazar kiyā
āsūdgān-e-ḳhāk ko phir dar-ba-dar kiyā
zauq-e-numūd-e-sub.h meñ barg-o-shajar kiyā
tā-umr apnī zaat ke andar basar kiyā
is kā.enāt-e-shauq ko ham ne bhī sar kiyā
dam bhar ruke the sāya-e-mizhgān-e-yār meñ
us ḳhānumāñ-ḳharāb ne bhī dil meñ ghar kiyā
ham ko shu.ūr-e-sabr-o-razā se navāz kar
ġham-āshnā-e-lazzat-e-dard-e-jigar kiyā
ahl-e-junūñ ne dasht-navardī kī raah meñ
āvārgān-e-ishq ko bhī ham-safar kiyā
tujh ko hī ham se vasl kī mohlat nahīñ milī
ham ne to intizār tirā umr bhar kiyā
partav hai terī zaat kā har lamha-e-vajūd
ham ne ye faisla tirī āyāt par kiyā
lo bārgāh-e-dard meñ rakh kar matā-e-dil
'rif.at' ne is jahān se aage safar kiyā
Top Urdushayar.com