kitnī bulandiyoñ pe sar-e-dār aa.e haiñ
kisī mārka meñ ahl-e-junūñ haar aa.e haiñ
ghabrā uThe haiñ zulmat-e-shab se to bār-hā
naale hamāre lab pe sharar-bār aa.e haiñ
ai qissa-go azal se jo biitī hai vo sunā
kuchh log tere fan ke parastār aa.e haiñ
paa.ī guloñ se ābla-pā.ī ki jab na daad
dīvāne haiñ ki sū-e-lab-e-ḳhār aa.e haiñ
ġham-ḳhvāriyoñ kī tah meñ dabī sī masarrateñ
yuuñ mere paas bhī mire ġham-ḳhvār aa.e haiñ
pahuñche haiñ jab bhī ḳhalvat-e-dil meñ to ai nadīm
aksar ham apne aap se be-zār aa.e haiñ
us bazm meñ to mai kā kahīñ zikr tak na thā
aur ham vahāñ se be-ḳhud o sarshār aa.e haiñ
us kī galī meñ ham ne luTā dī matā-e-jāñ
us kī galī se ham to subuksār aa.e haiñ
karte rahe haiñ fan kī parastish tamām umr
mahshar meñ kaise kaise gunahgār aa.e haiñ
'jazbī' jo ho sake to mirī hairatoñ se pūchh
kis tarah mere zehn meñ ash.ār aa.e haiñ