Moin Ahsan Jazbi

shamim-e-zulf o gul-e-tar nahin to kuchh bhi nahin

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
shamīm-e-zulf o gul-e-tar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
dimāġh-e-ishq mo.attar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ġham-e-hayāt bajā hai magar ġham-e-jānāñ
ġham-e-hayāt se baḌh kar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
haqīqat-e-ġham-e-daurāñ ke saath ai nāseh
fareb-e-shīsha-o-sāġhar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
rah-e-vafā meñ dil o jaañ nisār kar jaa.eñ
agar ye apnā muqaddar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
azāb-e-dard pe nāzāñ haiñ ahl-e-dard magar
nashāt-e-dard mayassar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye kah ke chhoḌ dī rāh-e-ḳhirad mire dil ne
qadam qadam pe jo Thokar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
vo harf jis se hai mansūr o daar ko nisbat
lab-e-junūñ pe mukarrar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
nasīm ban ke ham aa.e haiñ is gulistāñ meñ
kalī kalī jo gul-e-tar nahīñ to kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com