Moin Ahsan Jazbi

bite hue dinon ki halawat kahan se laen

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
biite hue dinoñ kī halāvat kahāñ se laa.eñ
ik mīThe mīThe dard kī rāhat kahāñ se laa.eñ
DhūñDeñ kahāñ vo nāla-e-shab-tāb kā jamāl
āh-e-sahar-gahī kī sabāhat kahāñ se laa.eñ
samjhā.eñ kaise dil kī nazākat kā mājrā
ḳhāmoshi-e-nazar kī ḳhitābat kahāñ se laa.eñ
tark-e-ta.alluqāt kā ho jis se ehtimāl
bebākiyoñ meñ itnī sadāqat kahāñ se laa.eñ
afsurdagi-e-zabt-e-alam aaj bhī sahī
lekin nashāt-e-zabt-e-masarrat kahāñ se laa.eñ
har fat.h ke ġhurūr meñ be-vaj.h be-sabab
ehsāh-e-infi.āl-e-hazīmat kahāñ se laa.eñ
āsūdgi-e-lutf-o-ināyat ke saath saath
dil meñ dabī dabī sī qayāmat kahāñ se laa.eñ
vo josh-e-iztirāb pe kuchh sochne ke baad
hairat kahāñ se laa.eñ nadāmat kahāñ se laa.eñ
har lahza taaza taaza balāoñ kā sāmnā
na-āzmūda-kār kī jur.at kahāñ se laa.eñ
hai aaj bhī nigāh-e-mohabbat kī aarzū
par aisī ik nigāh kī qīmat kahāñ se laa.eñ
sab kuchh nasīb ho bhī to ai shorish-e-hayāt
tujh se nazar churāne kī aadat kahāñ se laa.eñ
Top Urdushayar.com