jab kabhī kisī gul par ik zarā nikhār aayā
kam-nigāh ye samjhe mausam-e-bahār aayā
husn o ishq donoñ the be-karāñ o be-pāyāñ
dil vahāñ bhī kuchh lamhe jaane kab guzār aayā
us ufuq ko kyā kahiye nuur bhī dhuñdlakā bhī
bār-hā kiran phūTī bār-hā ġhubār aayā
ham ne ġham ke māroñ kī mahfileñ bhī dekhīñ haiñ
ek ġham-gusār uThā ek ġham-gusār aayā
ārzū-e-sāhil se ham kinārā kyā karte
jis taraf qadam uThe bahar-e-be-kanār aayā
yuuñ to saikḌoñ ġham the par ġham-e-jahāñ 'jazbī'
ba.ad ek muddat ke dil ko sāzgār aayā