Qurbi Velori

kam-nigahi hor taghaful mat kar ai mah-e-tamam

Qurbi Velori

Bijapur, Karnataka, India

1706-1769
kam-nigāhī hor taġhāful mat kar ai māh-e-tamām
muk tirā kartā hai ġhamza kaam āshiq kā tamām
ḳhanjar-e-bismil suuñ dil kuuñ nīm-bismil jab kiyā
yak nigāh-e-lutf suuñ kar puḳhta is kā kār-e-ḳhām
sar-ba-sar kā yaañ jahāñ ke āshiqāñ kuuñ pūchh haiñ
ishq-bāzī ke baġhair az kar nakūñ tū aur kaam
pī sharāb-e-nām-e-rindāñ tā asar suuñ kaif ke
zikr-e-allāh-allāh hove gar kahe tū raam raam
o suuñ tuuñ ho tuuñ so o bhī o so o bhī tuuñ so tuuñ
'qurbī' ye mushkil hai nukta buuj tuuñ summal-kalām
Top Urdushayar.com