ham dahr ke is vīrāne meñ jo kuchh bhī nazārā karte haiñ
ashkoñ kī zabāñ meñ kahte haiñ aahoñ meñ ishārā karte haiñ
kyā tujh ko patā kyā tujh ko ḳhabar din raat ḳhayāloñ meñ apne
ai kākul-e-gītī ham tujh ko jis tarah sañvārā karte haiñ
ai mauj-e-balā un ko bhī zarā do chaar thapeḌe halke se
kuchh log abhī tak sāhil se tūfāñ kā nazārā karte haiñ
kyā jāniye kab ye paap kaTe kyā jāniye vo din kab aa.e
jis din ke liye ham ai 'jazbī' kyā kuchh na gavārā karte haiñ