aish se kyuuñ ḳhush hue kyuuñ ġham se ghabrāyā kiye
zindagī kyā jaane kyā thī aur kyā samjhā kiye
nāla-e-be-tāb lab tak aate aate rah gayā
jaane kyā sharmīlī nazroñ se vo farmāyā kiye
ishq kī ma.asūmiyoñ kā ye bhī ik andāz thā
ham nigāh-e-lutf-e-jānāñ se bhī sharmāyā kiye
nāḳhudā be-ḳhud fazā ḳhāmosh sākit mauj-e-āb
aur ham sāhil se thoḌī duur par Duubā kiye
vo havā.eñ vo ghaTā.eñ vo fazā vo us kī yaad
ham bhī mizrāb-e-alam se sāz-e-dil chheḌā kiye
muḳhtasar ye hai hamārī dāstān-e-zindagī
ik sukūn-e-dil kī ḳhātir umr bhar taḌpā kiye
kaaT dī yuuñ ham ne 'jazbī' rāh-e-manzil kaaT dī
gir paḌe har gaam par har gaam par sambhlā kiye