apnī nigāh-e-shauq ko rusvā kareñge ham
har dil ko be-qarār-e-tamanā kareñge ham
haañ aap ko uThānā paḌegī nigāh-e-lutf
kyā muft apne raaz ko ifshā kareñge ham
ḳhalvat-kade meñ dil ke biThā deñge husn ko
aur apne jalve anjuman-ārā kareñge ham
ai husn ham ko hijr kī rātoñ kā ḳhauf kyā
terā ḳhayāl jāgegā soyā kareñge ham
ye dil se kah ke aahoñ ke jhoñke nikal ga.e
un ko thapak thapak ke sulāyā kareñge ham