dil sard ho to vā lab-e-guftār kyā kareñ
mansūr kyā baneñ havas-e-dār kyā kareñ
ab kyā sunā.eñ yūsuf o zindāñ kī dāstāñ
phir garm jins-e-dard kā bāzār kyā kareñ
vo sāġhar-e-nashāt ho yā jām-e-zahr-e-ġham
saaqī ne jab diyā ho to inkār kiyā kareñ
dekhe na apne saath jo koī to kyā dikhā.eñ
samjhe na koī baat to isrār kyā kareñ
'jazbī' nigāh meñ hai barahana-sirī kī shaan
ham ehtirām-e-turra-e-dastār kyā kareñ