fuzūl raaz mohabbat kā sab chhupāte haiñ
bujhā.e jo na bujhe aag vo bujhāte haiñ
maiñ jitnā rāh-e-mohabbat se haTtā jaatā huuñ
vo utne hī mire nazdīk aa.e jaate haiñ
sambhāl jazba-e-ḳhuddārī-e-dil-e-mahzūñ
kisī ke sāmne phir ashk aa.e jaate haiñ
tumhāre husn ke jalvaoñ kī shoḳhiyāñ tauba
nazar to aate nahīñ dil pe chhā.e jaate haiñ
hazār husn kī fitrat se ho koī āgāh
nigāh-e-lutf ke sab hī fareb khāte haiñ
shikasta dil hī ke naġhme to haiñ vo ai 'jazbī'
jinheñ vo sunte haiñ aur jhuum jhuum jaate haiñ