Moin Ahsan Jazbi

dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
dāġh-e-ġham dil se kisī tarah miTāyā na gayā
maiñ ne chāhā bhī magar tum ko bhulāyā na gayā
umr bhar yuuñ to zamāne ke masā.ib jhele
terī nazroñ kā magar baar uThāyā na gayā
rūThne vāloñ se itnā koī jā kar pūchhe
ḳhud hī rūThe rahe yā ham se manāyā na gayā
phuul chunñā bhī abas sair-e-bahārāñ bhī fuzūl
dil kā dāman hī jo kāñToñ se bachāyā na gayā
us ne is tarah mohabbat kī nigāheñ Dālīñ
ham se duniyā kā koī raaz chhupāyā na gayā
thī haqīqat meñ vahī manzil-e-maqsad 'jazbī'
jis jagah tujh se qadam aage baḌhāyā na gayā
Top Urdushayar.com