kitnī bulandiyoñ pe sar-e-dār aa.e haiñ
kis ma.arka meñ ahl-e-junūñ haar aa.e haiñ
ghabrā uThe haiñ zulmat-e-shab se to bār-hā
naale hamāre lab pe sharar-bār aa.e haiñ
ai qissa-go azal se jo biitī hai vo sunā
kuchh log tere fan ke parastār aa.e haiñ
paa.ī guloñ se ābla-pā.ī kī jab na daad
dīvāne haiñ ki sū-e-lab-e-ḳhār aa.e haiñ
ġham-ḳhvāriyoñ kī tah meñ dabī sī masarrateñ
yuuñ mere paas bhī mire ġham-ḳhvār aa.e haiñ
pahuñche haiñ jab bhī ḳhalvat-e-dil meñ to ai nadīm
akasr ham apne-āp se bezār aa.e haiñ
us bazm meñ to mai kā kahīñ zikr tak na thā
aur ham vahāñ se be-ḳhud o sarshār aa.e haiñ