dil meñ kuchh soz-e-tamannā ke nishāñ milte haiñ
is añdhere meñ ujāle ke samāñ milte haiñ
aaj bhī rañg-e-bayābāñ ke tapish-zāroñ meñ
laḌkhaḌāte hue qadmoñ ke nishāñ milte haiñ
haañ isī manzil-e-sa-kaif-o-tarab kī jānib
qāfile aaj bhī āshiq ke ravāñ milte haiñ
ai gire ham-safro is ko to manzil na kaho
āñdhiyāñ uThtī haiñ tūfān yahāñ milte haiñ
un ke har va.ada-e-altāf kī rañgīnī meñ
kitne nā-dīda sitam-hā-e-girāñ milte haiñ
us kī mahfil meñ vo bahke hue sīmīñ naġhmeñ
ab to kuchh din se ba-andāz-e-fuġhāñ milte haiñ
yuuñ gavāra hai ye ḳhūñ-bār ufuq kā manzar
is ke partav meñ hameñ taaza jahāñ milte haiñ