maan mat kar āshiq-e-be-tāb kā armān maan
jaan kar anjān mat ho muj kuuñ tū be-jān jaan
fikr apnī nahīñ mujhe hai us kī bad-nāmī kā ḳhauf
mujh kuuñ nām-o-nañg kī hai har ghaḌī har aan aan
tiir o ḳhanjar meñ nahīñ hai āb-dārī is qadar
tujh nigah kī dekh kar jaldī huā qurbān baan
dasht-e-vahshat meñ nipaT be-kas huuñ ai āhū-nigah
huuñ bhikārī vasl kā de muj kuuñ is maidān daan
qatl karne par tire hai teġh-bar-kaf vo sanam
sar-kashī mat kar 'sirāj' ab jaan kā farmān maan