ai ġhairat-e-ġham aañkh mirī nam to nahīñ hai
koī dil-e-ḳhūñ-gashta kā mahram to nahīñ hai
riste hue zaḳhmoñ kā ho kuchh aur mudāvā
ye harf-e-tasallī koī marham to nahīñ hai
ḳhāmosh haiñ kyuuñ nāla-kshān-e-shab-e-hijrāñ
ye tīra-shabī aaj bhī kuchh kam to nahīñ hai
jaltā to hai dil aaj bhī ai tīrgī-e-ġham
ik sham.a kī lau aaj bhī maddham to nahīñ hai
us bazm meñ sab kuchh hai magar ai dil-e-pur-shauq
terī sī talab terā sā aalam to nahīñ hai
kuchh vo bhī haiñ chup-chāp se kuchh maiñ bhī huuñ ḳhāmosh
dar-parda koī ranjish-e-bāham to nahīñ hai