fazā-e-shab meñ sitāre hazār guzre haiñ
ye āsmāñ se diloñ ke ġhubār guzre haiñ
mahak uThe haiñ dar-o-bām o kūcha o bāzār
jahāñ jahāñ se tire bāda-ḳhvār guzre haiñ
mizāj pūchhte phirte haiñ zarre zarre kā
diloñ kī raah se kuchh ḳhāksār guzre haiñ
kalī ne baḌh ke pukārā guloñ ne pyaar kiyā
kabhī chaman se jo sīna-figār guzre haiñ
mujhe dikhāo na ḳhūn-e-jamāl-e-lāla-o-gul
mirī nazar se ye naqsh o nigār guzre haiñ
bahā sakā na unheñ vaqt kā bhī sail-e-ravāñ
vo chand lamhe jo is dil pe baar guzre haiñ
hamārī raah meñ 'jazbī' pahāḌ aa.e pe ham
misāl-e-abr sair-e-kohsār guzre haiñ