Moin Ahsan Jazbi

udasiyon ke siwa dil ki zindagi kya hai

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
udāsiyoñ ke sivā dil kī zindagī kyā hai
koī batā.e ki ḳhvāboñ kī barhamī kyā hai
kabhī chaman se jo guzre chaman se ḳhud pūchhe
sabā mizāj-e-chaman ham se pūchhtī kyā hai
ye tīragi-e-musalsal hazār baar qubūl
magar ye daur charāġhoñ kī raushnī kyā hai
ye ahl-e-dil ki uḌāte haiñ mere ġham kā mazāq
ye be-hisī jo nahīñ hai to be-hisī kyā hai
na pūchh mujh se jo kār-e-savāb meñ hai maza
ye pūchh mujh se gunāhoñ meñ dilkashī kyā hai
mashām-e-jāñ na mo.attar ho jis se vo gul kyā
jo nashsha lā na sake vo sharāb hī kyā hai
nazar se duur hai 'jazbī' savād-e-manzil tak
na jaane zauq-e-talab meñ mire kamī kyā hai
Top Urdushayar.com