Moin Ahsan Jazbi

chaman mein the jo chaman hi ki dastan sunte

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
chaman meñ the jo chaman hī kī dāstān sunte
koī navā koī naġhma koī fuġhāñ sunte
qadam na chhoḌte rāhoñ ko tā-ba-manzil-e-shauq
hamārī baat jo ye ahl-e-kārvāñ sunte
tire qalam se to gulzār-e-be-navā kā qafas
tirī zabāñ se bhī kuchh hāl-e-be-zabāñ sunte
hamāre dard kā tūfāñ kahāñ kahāñ na uThā
ye shor aap jahāñ chāhte vahāñ sunte
ik umr apnī bhī guzrī hai ai chaman vaalo
guloñ ke kunj meñ andesha-e-ḳhizāñ sunte
kisī kā rañj kisī kā alam kisī kā malāl
ab aur kyā thā jo ham zer-e-āsmāñ sunte
guloñ se bach ke chale bulbuloñ se katrā.e
vo merā qissa-e-ḳhūnīñ kahāñ kahāñ sunte
kuchh is meñ apnā bhī soz-e-bayāñ thā ai 'jazbī'
vagarna log kab afsāna-e-jahāñ sunte
Top Urdushayar.com