dānā-e-ġham na mahram-e-rāz-e-hayāt ham
dhaḌkā rahe haiñ phir bhī dil-e-kā.enāt ham
haañ ik nigāh-e-lutf ke haqdār the zarūr
maanā ki the na qābil-e-sad-iltifāt ham
bīm-e-ḳhizāñ se kis ko mafar thā magar nasīm
karte rahe guloñ se nikharne kī baat ham
ai sham.a dilbarī tirī mahfil se bār-hā
le kar uThe haiñ soz-e-ġham-e-kā.enāt ham
DhūñDā kiye haiñ rāh-e-havas rah-ravān-e-shauq
dekhā kiye haiñ laġhzish-e-pā-e-sabāt ham
un ke ġhamoñ kā haa.e sahārā na pūchhiye
kuchh pā ga.e haiñ apne ġhamoñ se najāt ham