mile mujh ko ġham se fursat to sunā.ūñ vo fasāna
ki Tapak paḌe nazar se mai-e-ishrat-e-shabāna
yahī zindagī musībat yahī zindagī musarrat
yahī zindagī haqīqat yahī zindagī fasāna
kabhī dard kī tamannā kabhī koshish-e-mudāvā
kabhī bijliyoñ kī ḳhvāhish kabhī fikr-e-āshiyāna
mire qahqahoñ kī zad par kabhī gardisheñ jahāñ kī
mire āñsuoñ kī rau meñ kabhī talḳhī-e-zamāna
mirī rif.atoñ se larzāñ kabhī mehr-o-māh o anjum
mirī pastiyoñ se ḳhā.if kabhī auj-e-ḳhusravāna
kabhī maiñ huuñ tujh se nālāñ kabhī mujh se tū pareshāñ
kabhī maiñ tirā hadaf huuñ kabhī tū mirā nishāna
jise pā sakā na zāhid jise chhū sakā na suufī
vahī taar chheḌtā hai mirā soz-e-shā.irāna