Siraj Aurangabadi

aaya piya sharab ka pyala piya hua

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
aayā piyā sharāb kā pyālā piyā huā
dil ke diye kī jot siiñ kājal diyā huā
aayā hai mere qatl pe darpesh be-tarah
aayā hai mujh kuuñ pesh vo apnā kiyā huā
maarā huā hai ḳhizr-e-mohabbat kī teġh kā
āb-e-hayāt-e-shauq siiñ tere jiyā huā
baiThā hai taḳht-e-shauq pe jo ho ke be-riyā
vo pādshāh-e-bārgah-e-kibriyā huā
niklā hai dil jalā ke mujh āñkhoñ se tifl-e-ashk
us shoḳh-e-be-jigar kā dekho kyā hiyā huā
dil le gayā hai mujh kuuñ de ummīd-e-dil-dahī
zālim kabhī to lā.egā merā liyā huā
nahīñ jab siiñ paas shāhid-e-gulgūñ-qabā 'sirāj'
jī par hai tañg jism kā jaama siyā huā
Top Urdushayar.com