aah bhī ik koshish-e-nākām hai mere liye
aisī sahbā-e-kuhan aur ḳhaam hai mere liye
zindagī ik shorish-e-ālām hai mere liye
jo nafas hai gardish-e-ayyām hai mere liye
shā.erī hī vaj.h-e-nañg-o-nām hai mere liye
aur jo kuchh hai vo sab ilzām hai mere liye
merī arz-e-shauq be-ma.anī hai un ke vāste
un kī ḳhāmoshī bhī ik paiġhām hai mere liye
ye mirī āshufta-e-hālī ye mirī āvārgī
jaise saarī gardish-e-ayyām hai mere liye
kis qadar ma.asūm kaisī garm kitnī dil-navāz
vo nigāh-e-nāz jo bad-nām hai mere liye
aaj kyā hone ko hai ai gardish-e-haft-āsmāñ
har sitāra larza-bar-andām hai mere liye