Moin Ahsan Jazbi

is but ke har fareb pe qurban se rahe

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
is but ke har fareb pe qurbān se rahe
ik umr apne miTne ke sāmān se rahe
us jāñ-navāz kūche meñ ham bhī rahe magar
be-dil kabhī rahe kabhī be-jān se rahe
rindān-e-mai-kada haiñ ki tañg aa ke uTh ga.e
yārān-e-mai-kada haiñ ki anjān se rahe
us meñ chaman kā rañg na is meñ chaman kā ruup
ham bū-e-gul se aaj pareshān se rahe
lab sī liye jo ḳhanda-e-yārāñ ke ḳhauf se
barsoñ hamāre siine meñ tūfān se rahe
ye jaan aisī chiiz hai kyā phir bhī ham-nashīñ
ham un pe jaan de ke pashemān se rahe
gulshan meñ josh-e-gul to bagūla haiñ dasht meñ
ahl-e-junūñ jahāñ bhī rahe aan se rahe
Top Urdushayar.com