tujh se nazar milā kar dīvāna ho gayā maiñ
kuchh raaz ban gayā kuchh afsāna ho gayā maiñ
apne liye bahāyā ḳhūn-e-jigar to kyā ġham
tere liye to rañgīñ afsāna ho gayā maiñ
haañ ab uThā rahe ho dīvāna-vār nazreñ
jab tum se tañg aa kar dīvāna ho gayā maiñ
ye soch kar ki shāyad parvāna-vār aao
afsurda sā charāġh-e-ġham-ḳhāna ho gayā maiñ
haT kar ġhamoñ se akasr Thukrā diyā ġhamoñ ko
akasr ġhamoñ se ghuT kar dīvāna ho gayā maiñ
terī nazar meñ rah kar ik raaz ban gayā thā
gir kar tirī nazar se afsāna ho gayā maiñ
ik baar aur dekhā hasrat se un kī jānib
phir rafta rafta un se begāna ho gayā maiñ
ab to mirī ḳhamoshī sab kah chukī hai tum se
ab to sunā-sunāyā afsāna ho gayā maiñ
hai kaal āñ.suoñ kā kyuuñ chashm-e-ġham meñ 'jazbī'
kis riñd-e-tishna-lab kā paimāna ho gayā maiñ