vahī kasīf ghaTā.eñ vahī bhayānak raat
sahar se jaise gurezāñ hoñ aaj bhī lamhāt
vahī jafā.eñ vahī saḳhtiyāñ vahī āfāt
tumhīñ batāo ki badle kahāñ mire din raat
ye barq o baad kī yūrish ye zahr kī bārish
milī hai ahl-e-chaman ko bahār kī sauġhāt
diloñ meñ aag nigāhoñ meñ aag bātoñ meñ aag
kabhī to yuuñ bhī nikaltī hai ġham-zadoñ kī barāt
kabhī kabhī to zamīñ āsmāñ chamak uTThe
kabhī kabhī to dahak uTThe ḳhaak ke zarrāt
ḳhizāñ-rasīda chaman aag ho ga.e 'jazbī'
hamāre dīda-e-pur-ḳhūñ meñ thī magar kuchh baat