Moin Ahsan Jazbi

hum ek KHwab liye mah o sal se guzre

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005
ham ek ḳhvāb liye maah o saal se guzre
hazāroñ rañj hazāroñ malāl se guzre
hameñ milā jo koī āsmāñ to sūrat-e-māh
na jaane kitne uruuj o zavāl se guzre
kabhī ġharīboñ kī aahoñ meñ kī basar ham ne
kabhī amīroñ ke jāh-o-jalāl se guzre
vo be-sahārā se kuchh log jaan se bezār
ḳhabar milī hai ki auj-e-kamāl se guzre
ye zindagī bhī ajab raah thī ki ham jis se
qadam baḌhāte jhijakte niDhāl se guzre
haqīqateñ to nigāhoñ ke sāmne thiiñ magar
ham ek umr fareb-e-ḳhayāl se guzre
hikāyat-e-gul-o-bulbul pe ḳhanda-zan haiñ vahī
jo shām-e-hijr na sub.h-e-visāl se guzre
gale lagātī hai manzil unheñ bhī ai 'jazbī'
qadam qadam pe jo ḳhauf-e-ma.āl se guzre
Top Urdushayar.com