na koī aah na koī ḳhalish na dard na ġham
vo yaad aa.e to pahroñ sukūt kā aalam
dikhā ga.ī mujhe nairañgiyāñ zamāne kī
vo ik nigāh kabhī multafit kabhī barham
halāvatoñ meñ vo Duubī sī ik karam kī nigāh
latāfatoñ meñ vo lipTe hue hazār sitam
vo ek sham ki ḳhud jal uThe haiñ ghar ke charāġh
vo ek sub.h ki ḳhud jis pe ro paḌī shabnam
mohabbatoñ meñ ye īmāñ ye chashm-e-nam ye taḌap
butoñ se ham ko bahut kuchh milā ḳhudā kī qasam
ajiib dhun thī ki Thahre kahīñ na dīvāne
vo rāhatoñ kā chaman ho ki ḳhār-zār-e-alam
na pūchh kyuuñ mujhe aate haiñ yaad ai 'jazbī'
jahān-e-dard meñ dard-e-jahāñ ke vo mahram