Siraj Aurangabadi

KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junūñ rahā na parī rahī
na to tū rahā na to maiñ rahā jo rahī so be-ḳhabarī rahī
shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barahnagī
na ḳhirad kī baḳhiya-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī
kabhī samt-e-ġhaib siiñ kyā havā ki chaman zuhūr kā jal gayā
magar ek shāḳh-e-nihāl-e-ġham jise dil kaho so harī rahī
nazar-e-taġhāful-e-yār kā gila kis zabāñ siiñ bayāñ karūñ
ki sharāb-e-sad-qadah aarzū ḳhum-e-dil meñ thī so bharī rahī
vo ajab ghaḌī thī maiñ jis ghaḌī liyā dars nusḳha-e-ishq kā
ki kitāb aql kī taaq par juuñ dharī thī tyuuñ hī dharī rahī
tire josh-e-hairat-e-husn kā asar is qadar siiñ yahāñ huā
ki na ā.īne meñ rahī jilā na parī kuuñ jalvagarī rahī
kiyā ḳhaak ātish-e-ishq ne dil-e-be-navā-e-'sirāj' kuuñ
na ḳhatar rahā na hazar rahā magar ek be-ḳhatarī rahī
Top Urdushayar.com