nayan kī putlī meñ ai sirījan tirā mubārak maqām distā
palak ke paT khol kar jo dekhūñ to mujh kuuñ māh-e-tamām distā
parī kī majlis meñ tujh kuuñ zāhid hanūz parvāngī nahīñ hai
mai-e-mohabbat kuuñ nosh kar tuuñ ki ab talak mujh kuuñ ḳhaam distā
sabhoñ siiñ mukh moḌ kar mirā dil prit ke fan meñ huā udāsī
namāz jī siiñ niyāz kī paḌh saf-e-junūñ kā imaam dastā
agarche har sarv rāst-qāmat chaman meñ maġhrūr-e-sar-kashī hai
muqābil us qadd-e-ḳhush-adā ke mirī nazar meñ ġhulām dastā
vo shakkarīñ-lab ne gosh-e-dil señ tamām sun kar yuuñ reḳhta kuuñ
kahā vo mīThe bachan señ mujh kuuñ 'sirāj' shīrīñ kalām dastā