yak nigah señ liyā hai vo gulfām
kyā ḳhirad kyā shakeb kyā ārām
haq meñ ushshāq ke qayāmat hai
kyā karam kyā itaab kyā dushnām
mujh kuuñ gul-gasht-e-bāġh-e-zindāñ hai
sabza zanjīr-o-shāḳh-e-sumbul-o-dām
mai-kashī kuuñ tirī gulistāñ meñ
sarv-e-mīnā hai daur-e-nargis-e-jām
vaqt hai ab namāz-e-maġhrib kā
chāñd ruḳh lab shafaq hai gesū shaam
aarzū hai jo manzil-e-maqsūd
tark-e-matlab hai muddā-e-tamām
sidq-e-dil señ 'sirāj' bāñdhā hai
ka.aba-e-kū-e-yār kā ehrām