jab jab vo sar-e-tūr-e-tamannā nazar aayā
maiñ kaise kahūñ vo mujhe kyā kyā nazar aayā
hastī ke dar-o-bast kā maarā nazar aayā
har shaḳhs tamāsha hī tamāshā nazar aayā
dekhā jo zamāne ko kabhī achchhī nazar se
jo bhī nazar aayā hameñ achchhā nazar aayā
ka.abe meñ jo dekhā vahī but-ḳhāne meñ paayā
jaisā vo mire dil meñ thā vaisā nazar aayā
kyā ye bhī mohabbat ke taqāzoñ meñ hai shāmil
dariyā meñ nazar aayā to sahrā nazar aayā
auroñ pe baḌhe sañg-e-malāmat jo liye ham
har chehre meñ kyoñ apnā hī chehra nazar aayā
DhūñDā hī nahīñ ham ne tumhārā koī ham-sar
haañ tum kaho tum ko koī ham sā nazar aayā
yuuñ aur bahut aib haiñ 'sarvar' meñ va-lekin
kam-baḳht mohabbat meñ tū yaktā nazar aayā