Sarwar Alam Raz

waqif the kahan hum dil-e-na-chaar se pahle

Sarwar Alam Raz

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1935
vāqif the kahāñ ham dil-e-nā-chār se pahle
kam-baḳht mohabbat ke is āzār se pahle
nazreñ to uThāte zarā dīvār se pahle
ik aan to mil baiThte takrār se pahle
dīvāna koī lā.eñge mujh jaisā kahāñ se
sochā nahīñ ye aap ne inkār se pahle
pā-basta jigar-e-soḳhta dil-gīr zabāñ band
sau zulm sahe dīda-e-ḳhūñ-bār se pahle
ye koī nayā tarz-e-taġhāful to nahīñ hai
aisī to na thī dostī āġhyār se pahle
āsūda-e-ġham-hā-e-ḳhizāñ ho ga.e āḳhir
phūloñ ne kahāñ pūchhā hameñ ḳhaar se pahle
dil-sozī o āshufta-sarī tohmat o dushnām
kyā kyā nahīñ dekhā rasan-o-dār se pahle
'sarvar' ne sunā.ī hī nahīñ ahl-e-ḳhirad ko
apnī ye ġhazal jur.at-e-iz.hār se pahle
Top Urdushayar.com