sub.h ko chain na ho shaam ko ārām na ho
is se behtar hai mirī sub.h na ho shaam na ho
mahfil-e-daur-e-ġhazal sarf-e-mai-o-jām na ho
zindagī merī bhalā kaise bad-anjām na ho
har ghaḌī sāmne hai silsila-e-dār-o-rasan
tujh sā zālim koī ai gardish-e-ayyām na ho
nā-murādī kī shikāyat zarā ye to socheñ
nā-murādī hī kahīñ ishq kā in.aam na ho
mujh ko duniyā se hai ummīd vafā kī ab tak
koī bhī is tarah sar-gashta-e-auhām na ho
shauq hai tujh ko zamāne meñ tirā naam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat mirī bad-nām na ho
koī din jaatā hai mahfil meñ bikhar jā.egī
apnī hālat pe pareshāñ dil-e-nākām na ho
tū ne kab ishq meñ achchhā burā sochā 'sarvar'
kaise mumkin hai ki terā burā anjām na ho