sab miT ga.e māñge hai magar terī nazar aur
ab laa.eñ kahāñ se batā dil aur jigar aur
kam ḳhaak ġharībān-e-mohabbat ko na jaano
uTTheñge isī ḳhaak se kal ḳhāk-ba-sar aur
har zarre meñ bas ek hī zarra nazar aa.e
gar chashm-e-tamāshā ko mile husn-e-nazar aur
kab baiTh sake manzil-e-hastī ko pahuñch kar
aage jo baḌā is se hai vo ek safar aur
duniyā meñ mohabbat kī kamī hai to balā se
ābād mohabbat kareñ aa shām-o-sahar aur
kyā tum ko takalluf hai mirī chāragarī meñ
ik tīr-e-nazar tīr-e-nazar tīr-e-nazar aur
ye kyā ki faqat ḳhaar hī qismat meñ likhe haiñ
ai ḳhāna-e-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar aur
'sarvar' kī kaTī kis tarah āḳhir shab-e-hijrāñ
kuchh tū hī batā qissa-e-ġham dīda-e-tar aur