bayān qissa-e-bechārgī kiyā jaa.e
jo dil kī rah ga.ī dil meñ use kahā jaa.e
ye zindagī hai to phir maut kis ko kahte haiñ
na royā jaa.e hai mujh se na hī hañsā jaa.e
tire ḳhayāl kī āsūdgī ma.āz-allāh
ye jab bhī aa.e hai ik umr kā galā jaa.e
faqīh-e-shahr bhī bikne lage sar-e-bāzār
ġharīb-e-shahr kahāñ jaa.e aur kyā jaa.e